KHUDA Ne Bheja – 38.20 Worship | Jospeh Samuel [New Hindi Christian Song]

Khuda ne bheja apna beta
Yeshu masih jo dukh har leta
Jo koi us par iman laye
Naash na ho par jeevan paye

Chota tera vishwas pahar hilayga
Kapde ko choole bus changayi payega
Yeshu ke naam se duniya hilayaga
Kar vishwas tujhe yeshu bachaeyga

Karta hai bharta hai
Phir bhi tu khota hai
Din ho ya raat
Tu har pal rota hai
Yeshu ka naam teri khushiyaan lautayaga
Kar vishwas tujhe yeshu bachaeyga

Khuda ne bheja apna beta
Yeshu masih jo dukh har leta
Jo koi us par iman laye
Naash na ho par jeevan paye

Yeshu ka kalam teri rahon ka ujaala hai
Jeevan ke andharon ko wo roshan karne wala hai
Yeshu ka naam tujhe swarg ko lejaiga
Kar vishwas tujhe yeshu bachaeyga

Bhooka hai tu pyasa hai
Aur jeevan mein nirasha hai
Tham yeshu haath us mei bharpoori ki asha hai
Yeshu ka naam jal jeevan ka pilayega
Kar vishwas tujhe yeshu bachaeyga

Khuda ne bheja apna beta
Yeshu masih jo dukh har leta
Jo koi us par iman laye
Naash na ho par jeevan paye

Mein ne jana tu bhi jaan
Yeshu tere saatha hai
Chodta na tyagta thamta wo haath hai
Yeshu ka naam sachi raha dikhlayega
Kar vishwas tujhe yeshu bachaeyga

Jhumta hai ghumta hai
Nashe mei tu doobta hai
Baat meri sun tujhe yeshu masih dhoondta hai
Yeshu ka naam tujhe hosh mei leiga
Kar vishwas tujhe yeshu bachaeyga

Khuda ne bheja apna beta
Yeshu masih jo dukh har leta
Jo koi us par iman laye
Naash na ho par jeevan paye

Sajda – 38.20 Worship | Arun Masih [New Hindi Christian Song]

Sajda sajda sajda

Tu hai mahaan
Sarv shaktimaan
Nahi koi bhi yeshu hai tere samaan

Sajda tujhe
Hum karte hai khuda
Tere charno mein
Sir apna jhukaate hain khuda

Tu hai mahaan
Sarv shaktimaan
Nahi koi bhi yeshu hai tere samaan

Naam naam YESHU naam
Sabse uncha tera naam